get paid to paste

नाख़ून में सफेद धब्बे या अर्धचन्द्रांक क्यों होते है??

Aapne kabhi dekha hoga ki hamare nakhuno me ek safaid daag jaisa kuch hota hota hai. Yun to ye daag har manushya ki ungliyo ke nakhuno me spasht dikhai deta hai par kisi kisi ke nakhuno me yeh aspash hota hai.

नाख़ून में सफेद धब्बे या अर्धचन्द्रांक क्यों होते है | Nakhun me safaid color ka nishan kyu hota hai.


safaid nishan ya dabbeNakhun ek mrut (mara hua/dead sells) utak hota hai. Par iske tale me jo safaid ardh-chandrank jise lulyna (लुल्यन) bhi kehte hai, dikhai deta hai. Wahi nakhun ka jeewit bhaag hota hai. yeh nakhun ko badhata hai. Nakhun ke is ardh-chandrank safaid bhag par jab koi chot lag jaati hai ya tight shoose pehnne se is par dawab padta hai tab yeh chot nakhun me chote chote safaid daago ke roop me dikhai deti hai. iska matlab yeh hai ki nakhun ke in Daago ka bhaag utna majboot nahi hai jitna ki shesh bhag!

 jaise-jaise nakhun badhta hai waise-waise safaid daag bhi upar ki or badhte hai or akhirkar paryapt wraddhi hone par nakhun katne par wah apne-aap hi samapt ho jate hai.
[tpb][/tpb]

Pasted: Dec 11, 2017, 12:12:40 pm
Views: 12